donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Arif Shafique
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Gardishe'n laut gayee'n meri balaaye'n lekar *
Gardishe'n laut gayee'n meri balaaye'n lekar
Ghar se jab nikla tha mai'n maa'n ki doaye'n lekar

Zindagi doob gayee maut ke sannate me'n
Baap lauta nahi'n bachche ki dawaye'n lekar

Log sarhko'n par nikal aaye fasaadaat ke baad
Apne hi kandho'n pe khud apni chitayee'n le kar

Meri bimaari ka ho paaye bhala kaise ilaaj
Dost ahbab faqat phool hi aaye'n lekar

Bus isi khauf se machlee'n na khilono'n ke liye
Kab talak bachcho'n ko bazaar na jaye'n lekar

Har soo phaili thi ghutan shahre sukhan me'n "Aarif"
Jab mai'n aayaa thaa yaha'n taza hawaye'n lekar

SP/1. Block-1, Mezzanine Floor,
Al-Karam Square, F.C.Area,
Karachi (Pakistan)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 362