donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Arman Najmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sada Waraq pe naqs banate to baat thee *
Sada Waraq pe naqs banate to baat thee
Zore qalam se rang jamate to baat thee

Mahw-e-safar hai'n ham bhi rahe aam par to kiya
Apni dagar pe chal ke dikhate to baat thee

Yeh keya ke sail-e-tund ki maujo'n me'n bah gaye
Pani pe hath paao'n chalate to baat thee

Kiu'n aafiyat ki gosha nashinee me'n gum huye
Dunia se rasm-o- raah barhate to baat thee

Dunyia bhi dekhti ke lahoo kis ke tan me'n hai 
Lalkar kar adu ko bulate to baat thee

Sahra me'n aake ham ne chiragha'n to kar diya
Apni zami'n pe phool khilate to baat thee

					Pili Kothi, Baqar Ganj
					Patna-800004 (Bihar)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 475