donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Arshad Jamal Sarim
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Raqs meiN Taa'oos e Khwahish ek bhi ban meiN nahiN *
Raqs meiN Taa'oos e Khwahish ek bhi ban meiN nahiN 
aag kya pichli rutoN si ab ke saawan mein nahiN? 
=================================== 

nit naye singaar se gar che huyieN aaraastah 
par kashish pahle si woh ghazloN ke jauban meiN nahiN 
======================================== 

kaun hai jo dekh sakta hai nazar bhar ke tumheiN 
sah sake jalwah tera woh zor darpan meiN nahiN 
===================================== 


roz karta tha ziyaa paashi jo soone SeHn mein 
aaj to woh chaaNd bhi is dil ke aaNgan mein nahiN 
===================================== 

rooThne se ik tere rooThi hai saari kayinaat 
aa bhi jaa, tere bina kuch bhi ti jeewan meiN nahiN 
====================================== 

mujh ko mil jaati zara si sar chupaane ki jagah 
zindagi itni bhi wus'at tere daaman meiN nahiN? 
======================================= 

bas rahi thi kal talak mujh meiN meri Ghairat kahiN 
aaj us kaa shaayebah tak bhi mere man meiN nahiN 
======================================= 

baayis e tauqeer to Thehra kisi ke waaste 
kya hua SARIM agar ek phool gulshan mein nahiN 
====================================== 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 360