|
* yuN huyi Zaat meree be sar o saamaan, keh bas *
yuN huyi Zaat meree be sar o saamaan, keh bas
raat is dil meiN utha gham ka woh toofaan, keh bas
===================================
zeest hai, waaste insaaN ke, khuda ki ne'mat
aur karta hai wahi iska woh kufraan, keh bas
===================================
aaj ki aa'lami tahzeeb, khuda khair kare
har nafas yuN hai yahaaN maayel e is'yaan, keh bas
====================================
ab sar e aam ye be mol bikaa karti hai
jaan, insaaN ki huyi itni hi arzaan, keh bas
=================================
jis ki azmat ka sitaaraa tha ufaq par raushan
aisi zulmat meiN ghiraa hai wo musalmaan, keh bas
====================================
raNg o mazheb ki parastaari meiN andha hokar
is tarah khoon ka pyaasaa hua insaan, keh bas
==================================
taj'ziya karta huN jab, zaat ka apni, SARIM
khud pe ho jaata huN maiN itna pashemaan, keh bas
======================================
|
|