* na koi jaa e sukooN hai, na koi jaaye tarab *
na koi jaa e sukooN hai, na koi jaaye tarab
kahiN se bahr e khudaa koi nidaaye tarab
================================
nahiN ummeed se bahra wari binaaye tarab
kabhi kabhi to hai naumeedi muqtazaaye tarab
==================================
chali jo baad e alam zakhm khul gaye saare
abhi main oRh bhi paayaa na tha ridaaye tarab
=====================================
banaao ras'm ba daanishwaraaN ki guncha bhi
saba ke lams se hote haiN aashnaaye tarab
======================================
sadaa e gham se haiN bojhal samaa'ateiN saari
koi to ho jo sunaa jaaye naghmahaaye tarab
===================================
bahaar ab ke yuN roothi hai seh'n e gulshan se
tuyoor nauha kunaaN haiN ki haaye haaye tarab
===================================
wo dekh paata kisi taur ak's e gham SARIM
jo meri aaNkhon meiN makhfi hai maawaraaye tarab
|