donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Asad Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yeh log khawab bahut karbala ke dikhte hai'n *
Yeh log khawab bahut karbala ke dikhte hai'n
Magar ghaneem ko gardan jhuka ke dekhte hai'n

Suna hai barf apni raushni se darti hai
So ek chiragh ko ham bhi jala ke dekhte hai'n

Junu'n me'n koii izafa nahi'n hai muddat se
Ghubar-e-jism bhi ab ke ura ke dekhte hai'n

Yeh dil hai thahri hui jheel ki tarah kab se
Ab us me'n phir koii patthar gira ke dekhte hai'n

Phir ek kheyal ko zanjeer kar diya ham ne
Phir ek naam ko dil se mita ke dekte hai'n

Jo maarko'n me'n kabhi bhi nahi'n gaye woh log
Zarah wa khud badan par saja ke dekhte hai'n

				Zia Compound, Marris Road,
				Civil Lines, Aligarh 202002-(U.P)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 476