donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Asghar Azimabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Saaqi ki inayaat bhulaya na jaayega *
Ghazal....
 
Saaqi ki inayaat bhulaya na jaayega
Har rind maikade me bulaya na jaayega

Saaqi ka maikade ka, subu ka ho jaam ka
Ab aur koi rishta nibhaya na jaayega

Ye ishq to dilon me baharon ki fasl hai
Har baagh me ye phool khilaya na jaayega

Roshan hai chasme noor me mashooq istarah
Toofan se bhi chiraagh bujhayaa na jaayega

Hai umr e rawa koocha e mashooq me guzri
Unse to naqsh e paa bhi mitaya na jaayega

Gardish ne meri mujhko sataya hai is qadar
Unse to chaah ke bhi satatya na jaayega

Paiband e kafan muntazir e qabr gaah hu
Phir ham se apna haal dikhaya na jaayega

Ajdad se mili hai aba e sukhanwari
Asghar ko imtehaan me laaya na jaayega
 
**********************
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 458