* Mere Mola Asghar pe apna karam rakhna *
Mere Mola Asghar pe apna karam rakhna
zeest ke safar mein mera bhram rakhna
groor o takabr meri zindgi mein na aaye
apne iltefaat se mera dil naram rakhna
lalach o hawas mere qreeb na aane paaye
meri ankhon mein sda hya o sharam rakhna
har imtihaan mein muje saabit qadam rakhna
sirf islam mera deen o dahram rakhna
Asghar kl faqat itni arzoo hai mere M0la
labon pe kalama toyuba aakhir damm rakhna
***************** |