donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ashfaqur Rahman
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mai'n ne rasme wafa nibhayee hai *
Mai'n ne rasme wafa nibhayee hai,
Phir bhi ilzam be wafayi hai,
Log hanste hai'n meri ghurbat per,
Mai'n ne qismat ajeeb payi hai,
Koi pehchan ab nahi baaqi,
Kaun hai ghair,kaun bhai hai,
Kaise tauba ka paas rakhu'n mai'n,
Jaam bhi hai ghata bhi chhayi hai,
Is se rishta naya nahi koi,
Roze awwal se aashnayi hai,
Maikade mei'n guzarete hai'n shab,
Shaikh jee ki yeh parsayi hai,
Jaa'n ki bazi sada "Sharar" ham ne,
Sarhade Hind pe lagayi hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 485