donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ashfaqur Rahman
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ho ahinsa ke parastar haqeeqat me agar; *
GHAZAL

By: Ashfaqur Rahman 'Sharar'
Mau Nath Bhanjan U.P.

Ho ahinsa ke parastar haqeeqat me agar;
Dharm ke nam pe insan ki hinsa na karo.

Amn-o-insaf-o-masaawat ki bhi bat karo;
Mal-o-daulat ka tahaffuz abas 'Anna' na karo.

Nafrat-o-bughz-o-qudoorat ki jagah koi nahi;
Kar ke tafreeq tum islam ko ruswa na karo.

Jhopde noor se mahroom na ho jayen kahin;
Chand ke samne be parda yun nikla na karo.

Main to pahle hi sukun dil ka ganwa baitha hun;
Shokh nazron se mujhe aur bhi dekha na karo.

Jis ki tahzeeb ki aghyar bhi khate the qasam;
Aur badnam ho ye qaum kuchh aisa na karo.

Kamyabi hai chhupi jehd-e-musalsal me 'Sharar'
Khab to dekho magar khab ka peechha na karo. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 458