donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Asim Khan Aafridi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* me'aar bechkar kabhi dastaar bechkar *
me'aar bechkar kabhi dastaar bechkar
ham bawaqaar ho gaye kirdaar bechkar

aaNgan ke saaye aur ghane ashjaar bechkar
ham aa gaye haiN gaaNv se gharbaar bechkar

ik din khareed laayeNge sooraj ham amn ka
duniya meN nafratoN ka har ambaar bechkar

le-de ke bas ye ek hi sarmaaya hai mera
jaaooN kahaN maiN apna ye kirdaar bechkar

shayad isi malaal meN sooraj nidhaal hai
saaya chala gaya kahiN dewaar bechkar

zulmat ke saare zikr hi chhote lage mujhey
jab aa gaya maseeha hi beemaar bechkar

khaabeeda bastiyoN se tu bahar nikal ke aa
mismaar ho rahe dar-o-deewaar bechkar

maazi ke zakhm bharne ki tasdeeq ho gayi
aaya hooN teri yaad ke gulzaar bechkar

"aasim" ghulamiyaN hain faqat unke waaste
baithey haiN jo bhi jurrat-e-izhaar bechkar
---------------------------------------------------
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 295