donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aslam Hanif
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Pase manzar me'n wira'n manzar phail gaya *
Pase manzar me'n wira'n manzar phail gaya
Tootte hi diwar mera ghar phail gaya

Ho'nt zamei'n ne ghabra kar jab khol diye
Seene ka lawa bahar aakar phail gaya

Haq goyo'n ne jitna use masdood kiya
Qarya qarya fan-e-azar phail gaya

Mahi geer udasi orhe lot gaye
Waqt se pahle aaj samundar phail gaya

Toote ghungru kis khawhish ki aandhi ke
Ek sannata mere andar phail gaya

Sirf qalam se fikro'n ko tabeer kiya
Sadiyo'n sadiyo'n ek danishwar phail gaya

				Gunnaur, Budaun-202522 (U.P)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 389