donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aslam Rahi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil yagaanaa hai to dildaar ne bakhshaa mujhko, *
Dil yagaanaa hai to dildaar ne bakhshaa mujhko, 
Yeh sila dil se mere yaar ne bakhshaa mujhko ,

Taqa-tay jalwai nazzaara kahaa'n thi mujh may ,
Hoslaa nargise bimaar ne bakhshaa mujh ko ,

Umr bhar baada gusaari kay bharam ki khaatir ,
Jaam ik Saqi-e pindaar ne bakhshaa mujhko ,

Phool chuntay huay guzri hai meri ik aisaa ,
Raastaa wadi-e purkhaar ne bakhshaa mujhko ,

Faislaa dil ki adaalat pe jo rakhkhaa hai to phir,
Yaar ko mainay mere yaar ne bakhshaa mujhko,

Daa-ghe har khoone tamannaa ghame doraa’n ghame dil,
Haa-e kia kia na tere piyaar ne bakhshaa mujhko,

Us ko mansoob kia lauhay sukhan se mainay,
Jo bhi sheeri’nee-e guftaar ne bakhshaa mujhko,

Yeh tarotaaza gulaabo’n se mahaktay hu-e shair,
Aik hi par-taway deedaar ne bakhshaa mujhko,

Mainay kuch bhi to chupaayaa nahi’n Aslam Rahi,
Kah diyaa jo di-le afgaar ne bakhshaa mujhko.


 
Comments


Login

You are Visitor Number : 380