|
* Har musaafir ke muqaddar mei'n biabaani Hai, *
Har musaafir ke muqaddar mei'n biabaani Hai,
Aaj bhi kal ki tarah besaro saamaani Hai,
yaad rakkhe-n ge tujhe khaak mei'n pinhaa-n hokar
Zindagi hamne teree khaak bahut chaani hai,
Asmaano-n pe hai'n chae hue kaale baadal,
Ab inhe-n khulke baras jaane mei'n aasaani hai,
Jaisei bah jaaien-ge sab aabe rawaa-n ki surat,
Ghar se baahir hi nahi-n ghar me bahut paani hai,
Sansanaati hei-n yahaa-n wahshi hawaaei'n din mei'n,
Dil wo khitta he jaha-n raat bhi tufaani hai,
Kuch dino-n se kahi-n niklei nahi-n is ghar ke makee-n,
Baamo saqfo daro diwaar ko hai-raani Hai,
Bazi-ei ishq mei'n aashuftaa saro-n ne RAHI,
Jaan to dee hai magar haar nahi-n maani hai.
|
|