donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aslam Rahi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Man me'n khot nahi;n hai sachchi baate-n kartay hai'n, *
Man me'n khot nahi;n hai sachchi baate-n kartay hai'n,
Hum to daisee log hai'n daisee baate'n kartay hai'n.

Khushboo aur hawaa ke jho'nkay qaid nahi'n hotay,
yeh to udtay phirtay panchi baate'n kartay hai'n.

Ghar me chan chan karti hai zangeer ghulaami ki,
Kis mu'nh se hum aazaadi ki baate'n kartay hai'n.

Apni soch ke chobaaray mei'n koi aur Nahi'n,
Jis se bhi miltay hai'n teri baate'n kartay hai'n.

Shahd bharay ho'nto-n se ik din zahr bhi uglai'n gay,
Dost hamaaray meethi meethi baate-n kartay hai'n,

Ahle sukhan kay baatin kiskay hotay hai'n paaband,
Khultay jaatay hai'n or apni baate'n kartay hai'n.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 344