donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aslam Rahi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Umr bhar baate'n kare'n hamdam teri tasweer se, *
Umr bhar baate'n kare'n hamdam teri tasweer se,
Jee ko bahlaaya kare'n bas ham teri taweer se,

Ik teri tasweer ho or saamne koi na ho,
Guftagu hoti rahe paiham teri tasweer se,

Jab teri tasweer rakhkhi aaeenai ke rubaru,
aainaa mujh ko lagaa maddham teri tasweer se,

Gum hui tasweer teri phir khiyaal aayaa mujhe,
Dardedil hotaa tha kamse kam teri tasweer se,

Istarah pahlay nahi'n thaa deedni manzar koi,
Khil uthaa nazzaara-ai aalam teri tasweer se,

Jo tujhe ai dost in ashko'n mei'n kah saktay nahi'n,
Baat karletay he-n wo bhi ham tri tasweer se,

Ab mujhe ispal koi ihsaas furqat ka nahi'n,
Hoga-ai kaafoor saare gham teri tasweer se.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 333