donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aslam Rahi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* AANKHO'N MEI'N RAAT AAYEE AJAB DIN GUZAAR KE, *
AANKHO'N MEI'N RAAT AAYEE AJAB DIN GUZAAR KE,
DAFNA DIYA MUJHE TERI FURQAT NE MAAR KE,
LAMHAAT JAB SERAAB HUE INTEZAAR KE,
GHARHIYAA'N TAWEEL HO GAYI'N FURQAT MEI'N YAAR KE,
JAB AASMAN HALQAE DAAMAN MEI'N HI NAHI,
MISRGAA'N PE KYA KAROGE SITAARE UTAAR KE,
MARTE SAMAY BHI AIK WOHI SAAMNE RAHA,
NIKLI HAMAARI JAAN USI KO PUKAAR KE,
HASRAT BHARE GULAAB KISI BAAGH MEI'N NAHI,
HOTE HAI'N PHOOL DEKHNE WAALE MAZAAR KE,
SEEKHA YEHI HAI GOSHAE IZLAT MEI'N RAAT DIN,
SONA MAZE SE KHUD KO LAHAD MEI'N UTAAR KE,
HAR AIK SHAI PE MARG TAARI TUMHARE BAAD,
TUM THEY TO US CHAMAN MEI'N THEY NAGHME HAZAAR KE,
KOYEL BHI TISHNAGI SE KAHII'N KOOKTI NAHI,
CHASHME TAMAAM SOOKH GAYE KOHSAAR KE,
"RAHI" WOH SAB KE SAB HUE SARMAAEYE HEYAAT,
ASHAAR JO KAHE GAYE KOOCHE MEI'N YAAR KE.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348