donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aslam Rahi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* HARI AANKHE'N FIRANGI LAB HAMARE JISM URIYAA'N HAI'N, *
HARI AANKHE'N FIRANGI LAB HAMARE JISM URIYAA'N HAI'N,
HAZIMAT AUR KYA HO AB HAMARE JISM URIYAA'N HAI'N,
SEYA BAKHTI HAMARI, GAR NA DE HAM SA ZAMAANE KO,
HAMARE MAND HAI'N KOKAB HAMARE JISM URIYAA'N HAI'N,
HAME'N TO CHAAHIYE DEKHA KARE'N APNI TARAF YAARO,
KISI SE KYA HAME'N MATLAB, HAMARE JISM URIYAA'N HAI'N,
KAFAN TAK BECH DAALE, SHAHRE JAA'N KE AHLE SARWAT NE,
HAMAARE PAAS KYA HAI, AB HAMARE JISM URIYAA'N HAI'N,
KISI IK SHAKHS PER HI ZULM HAI ILZAAM URIYAANI,
BARHANA HO GAYE HAM SAB,HAMARE JISM URIYAA'N HAI'N,
JO THEY, KUCHH JAAGTE ZAHNO'N KE WOH BHI SO GAYE "RAHI",
MOKAMMAL BE HISI HAI, AB HAMARE JISM URIYAA'N HAI'N.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 384