donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aslam Rahi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* TALIBE SHAUQAY HIRSO HAWA RAHGAYA, *
TALIBE SHAUQAY HIRSO HAWA RAHGAYA,
HAR KOI BESH O KAM SO'NCHTA RAH GAYA,
AIK MUJRIM BHI INSAAF DETA KISE,
KHUD ADALAT MEI'N APNI KHARHA RAH GAYA,
DHOOL URHTI RAHI DOOSRO'N KE LIYE,
KAARWAA'N CHAL PARHA RAASTA RAH GAYA,
MAI'N NE GHAR KI TARAF MURH KE DEKHA NAHI,
MURH KE DEKHA TO GHAR KA PATA RAH GAYA,
KEH CHUKA MAI"N SABHI KUCHH TUJHE ZINDAGI,
KYA KAHOO'N AUR KAHNE KO KYA RAH GAYA,
KAHTE KAHTE RUKI JO ZABAA'N AAP SE,
LOOHE DIL PER MERE WOH LIKHA RAH GAYA,
RAUSHNI KE LIYE MERE GHAR MEI'N KAHI'N,
TIMTIMAATA HUA IK DIYA RAH GAYA,
KIS KI JAANIB ISHAARA KAROO'N HAR KOI,
SIRF APNE LIYE SONCHTA RAH GAYA,
JIS KI TASWEER BHI MERE GHAR MEI'N NAHI,
WOH TASAWWUR MEI'N JALWA NUMA RAH GAYA,
US NE RUKH SE JO "RAHI" UTHAAYA NEQAAB,
MAI'N USE DEKH KAR BUT BANA RAH GAYA.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 345