donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aslam Rahi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sawaal hii ajeeb thay jawaab se jo darga-e, *
Sawaal hii ajeeb thay jawaab se jo darga-e,
Jiie to kaise jee-lie maray to kaise mar-ga-e,

Kahaa-n wo ahle-fun ga-e wo taali-be hunar ga-e,
Sukhan shanaas kia hue sukhan saraa kidhar ga-e,

Mataa-e azma-te sukhan to kabki lut lutaa chuki,
Hunar dikhaa ke sahibe hunar ko be-hunar ga-e,

ye saaniha naya nahi’n ye waaqia naya nahi-n,
Guzar hi jaae-ngay ye din wo din bhi to guzar ga-e,

Musaafiro-n ke bakht may qayaam mustaqil nahi-n,
ye subh kar ga-e kahi-n , kahi-n ye shaam kar ga-e,

Misaa-le gaisuai sanam rahe na eik haal par,
kabhi to hum sa’nwar ga-e kabhi to hum bikhar ga-e,

ye zulmato-n ki aa-n-dhia-n na aaj tak bujhaa saki-n,
Cha-raaghe rahguzar thay hum jalaa ki-ai jidhar ga-e.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361