donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Athar Nafees
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Lamho.n ke aazaab sah rahaa huu.N, *
Lamho.n ke aazaab sah rahaa huu.N,
mai.n apane vajuud kii sazaa huu.N,

zaKhmo.n ke gulaab khil rahe hai.n,
Khushbuu ke hujuum me.n kha.Daa huu.N,

is dasht-e-talab me.n ik mai.n bhii,
sadiyo.n kii thakii hu_ii sadaa huu.N,

benaam-o-numuud zindagii kaa,
ik bojhaa uThaaye phir rahaa huu.N,

ik aisaa chaman hai jis kii Khushbuu,
saa.Nso.n me.n basaaye phir rahaa huu.N,

ik aisii zamii.n hai jis ko chhuukar,
takadiis-e-haram se aashnaa huu.N,

ai mujh ko fareb dene vale,
mai.n tujh par yaqiin kar chukaa huu.N,

mai.n tere qariib aate aate,
kuchh aur bhii duur ho gayaa huu.N.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 432