donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Athar Nafees
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Itne dino.n ke baad tuu aayaa hai aaj, *
Itne dino.n ke baad tuu aayaa hai aaj,
sochtaa huu.N kis tarah tujh se miluu.N,

mere andar jaag uThii ik chaa.Ndanii,
mai.n zamii.n se aasamaa.N tak ek ang huu.N,

aur ujalaa ho gayaa qurbat kaa chaa.Nd
aur gaharaa ho gayaa teraa fusuu.N,

[qurbat = nearness; fusuu.N = magic]

ai saraapaa rang-o-nikahat tuu bataa,
kis dhanak se teraa pairaahan bunuu.N,

[saraapaa rang-o-nikahat = colour and fragrance from head to toe]

[pairaahan = garment]

saare gul_buuTe tar-o-taazaa hue,
duur tak pahu.Nchii hai merii mauj-e-Khuu.N,

kar rahe hai.n lamhe lamhe kaa hisaab,
mil ke phir baiThe hai.n yaaraan-e-junuu.N,

dasht-e-Gham kii dhuup me.n mujh par khulaa,
mai.n Khud apanaa saayaa-e-diivaar huu.N,

naaz kar Khud par ki tuu hai beshumaar,
qadr kar merii ki mai.n bas ek huu.N.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 460