donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Atif Javed Atif
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aik Poora jahan thi pehlay .. *
Aik Poora jahan thi pehlay .. 
yeh zameen, aasmaan thi pehlay .. 
 
raakh ho ker yaqeen aaya hai ..
aag wehm-o-gumaan thi pehlay ..
 
urr rahi hai jo aasmaan pe khaak..
maira khasta makan thi pehlay .. 
 
ye  jo burhiya pari hai konay mein
is haveli ki shaan thi pehlay .. 
 
hijr bikta hai ab jaha'n peh mia'n 
wasl ki ya'n dukan thi pehlay .. 
 
urna seekha tou ab mein darta hun
kitni oonchi uraan thi pehlay ..
 
aao miltay hein ab tassalli say ..
zindagi darmyaan thi pehlay .. 
 
(عاطف جاوید عاطف)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368