donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ayub Khawar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wo khushroo jab nahi hoga to yeh sab kon dekhega *
Wo khushroo jab nahi hoga to yeh sab kon dekhega
Hamarey dil pe jo guzregee yarab, kon dekhegaa

Bujhee jati hain shamme dard ki ahistaa ahistaa
Kisi ke roothne ka yeh naya dhab kon dekhegaa

Ujadta jaa raha hai mausame dil ka har ik manzar
Ab is dil ki taraf kia jaaniye kab kon dekhegaa

Paraaye gham ki chakhat se lagee baithi hai tanhaai
So us ke neem rukh per ghaza-e-shab kon dekhegaa

Namoode subha ka ailaan to ker jaayega taaza
Magar ik umr kam asaar ki chhab kon dekhega

Bikharta ja raha hoon aaina dar aaina Khavar
Magar kis ke liye yeh zaaviye ab kon dekhega
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 364