donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ayub Khawar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wo khushroo jab nahi hoga tou yeh sab kon dekhega *
Wo khushroo jab nahi hoga tou yeh sab kon dekhega
Hamarey dil pe jo guzregee ya Rab, kon dekhegaa

Bujhee jati hain shamme dard ki ahistaa ahistaa
Kisi k roothne ka yeh naya dhab kon dekhegaa

Ujarta jaa raha hai mausam e dil ka har ik manzar
Ab is dil ki taraf kia jaaniye kab kon dekhegaa

Paraay e gham ki chaukhat se lagee baithi hai tanhaai
So us ke neem rukh per ghaza-e-shab kon dekhegaa

Namood e subha ka ailaan to ker jaayega taaza
Magar ik umr kam asaar ki chhab kon dekhega

Bikharta ja raha hoon aaina dar aaina Khaawar
Magar kis ke liye yeh zaaviye ab kon dekhega
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 382