donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azeez Nabeel (Qatar)
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kuchh dair to dunya meray pahloo maiN khadi thi *

Kuchh dair to dunya meray pahloo maiN khadi thi
Phir teer bani aur kalejay maiN gadi thi
-
AnkhoN ki faseeloN say lahoo phoot raha tha
khwaboN kay jazeeray maiN koi lash padi thi
-
Sub rang nikal aaye thay tasveer say bahar
Tasveer wahi jo meray chahray pa gadi thi
-
MaiN chand hatheli pa liye jhoom raha tha
Aur toot tay taroN ki her ek samt jhadi thi
-
Alfaz kisi saye maiN dum laynay lagay tha
Awaz kay sahra maiN abhi dhoop kadi thi
-
Phir maiN nay usay peyar keya, dil maiN basaya
Woh shakl jo kamray maiN zamanay say padi thi
-
Her shakhs kay hathoN maiN tha khud uska garebaN
Ek aag thi seenoN maiN, Qayamat ki ghadi thi


Aziz Nabeel

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 440