donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azeez Nabeel (Qatar)
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* janay kin rahoN say iss shahr maiN layagaya hooN *

Ghazal

janay kin rahoN say iss shahr maiN layagaya hooN
aysa lagta hai, yahaN pahaly bhi aaya gaya hooN
--
maiN to ghar hee maiN hooN, par log batatay haiN ky maiN
dasht o sahra maiN bhatakta hua paya gaya hooN
--
itni hairat say na dekho mujhay aye deeda waro
maiN yahaN khud nahi aaya hooN, bulaya gaya hoon
--
maiN na yousuf hooN na aysa koi nayab sifat
keya khabar kis liye bazar maiN laya gaya hooN
--
kash ek roz koi chhu kay bataye mujhko
kaun hooN kaun si mitti say banaya gaya hooN
--
maiN he iss shahr ka aakash ka suraj hooN nabeel
aur jub subh hyui, maiN he bujhaya gaya hooN

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 356