* ab ye meyaar-e-shaharyaari hai *
ab ye meyaar-e-shaharyaari hai
kaun kitnaa baDaa madaarii hai
hamne roshan chiraaG kar to diyaa
ab havaaoN ki zimmedaarii hai
umar bhar sar buland rakhtaa hai
ye jo andaaz-e-inksaarii hai
sirf baahar nahiiN muhaaz khulaa
mere andar bhii jang jaarii hai
ek musalsal safar meN rakhtaa hai
ye jo andaaz-e-taazakaarii hai
miT rahii hai yahaaN zabaan-o-Gazal
aur Ghalib ka jashn jaarii hai |