Zindagi ki ada kaha.n dhu.ndoo.n
Tar-o-taza hawa kaha.n dhu.ndoo.n
Loriyo.n ki sada nahi.n aati
Apni maa.n ki dua kaha.n dhu.ndoo.n
Larkiya.n ho gayee.n jahez ki nazar
Is bala ka sera kaha.n dhu.ndoo.n
Is qdar roshani hai chehro.n par
Apna chehra bhala kaha.n dhu.ndoo.n
Dar-o-deewar kha gaye deemak
Apne ghar ka pata kaha.n dhu.ndoo.n
6933, Jebelali, Freezone, Dubai (U.A.E.)