donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aziz Hamid Madni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Firaaq se bhii gaye ham visaal se bhii gaye, *

Firaaq se bhii gaye ham visaal se bhii gaye,
subuk huye hai.n to aish-e-malaal se bhii gaye ,

jo but-kade me.n the vo sahibaan-e-kashf-o-kamaal,
haram me.n aaye tp kashf-o-kamaal se bhii gaye ,

usii nigaah kii narmii se Dag-magaa gaye qadam,
usii nigaah ke tevar sambhaal se bhii gaye,

Gham-e-hayaat-o-Gham-e-dost kii kashaakash me.n,
ham aise log to ra.nj-o-malaal se bhii gaye ,

vo log jin se terii bazm me.n the ha.ngaame,
gaye to kyaa terii bazm-e-Khayaal se bhii gaye ,

ham aise kaun the lekin qafas ki ye duniyaa,
ke par-shikasto.n me.n apanii misaal se bhii gaye,

charaag-e-bazm abhii jaan-e-a.njuman na bujhaa,
ke ye bujhaa to tere khad-o-Khaal se bhii gaye .

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 393