Uljhaav kaa mazaa bhii terii baat hii me thaa
teraa javaab tere savaalaat hii me thaa
saayaa kisii yaqii’n kaa bhii jis par na pad sakaa
vo ghar bhii shahar-e-dil ke muzaafaat hii me thaa
ilzaam kyaa hai ye bhii na jaanaa tamaam umr
mulzim tamaam umr havaalaat hii me thaa
ab to faqat badan kii muravvat hai daramiyaa.n
thaa rabt jaan-o-dil kaa to shuruuaat hii me thaa
mujh ko to qatl kar ke manaataa rahaa hai jashn
vo ziilihaaz shakhs merii zaat hii me thaa