Har shama jalte jismo.n ka garha dhoa.n hai shahar,
marghat kaha hai koi batao kaha hai shahar,
photpath par jo lash pari hai usi ki hai,
jis ganw ko yaqeen tha ki rozi-rasan hai shahar,
mar jaiye to nam-o-nasab puchhta nahi,
murdo ke silsile mai.n bahut mehraba.n hai shahar,
rah rah ke chiikh uthte hai.n sannate raat ko,
jungal chhupe hue hai.n wahi par jaha.n hai shahar,
bhokhalate rahte hai.n aur tooT.ta nahi,
hum jaise mufliso.n ki tarah saKht-jaa.N hai shahar,
latka huwa train ke Dibbo mai.n subah-o-sham,
lagta hai apni maut ke mu.nh mai.n rawa hai shahar.