donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azm Behzad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KahiN goyaayi ke haathoN samaa.at ro rahi hai *

KahiN goyaayi ke haathoN samaa.at ro rahi hai
KahiN lab bastaa rah jaane ki hasrat ro rahi hai
Kisi deewaar par nakhun ne lik_kha hai rihaayi
Kisi ghar meN aseeri ki aziyyat ro rahi hai
KahiN member pe baiTha hai ek sajde ka nashsha
Kisi mehraab ke neeche ibaadat ro rahi hai
Yeh maathe par paseene ki jo larzish tumne dekhi
Yeh ek chehre pe laa-haasil mushaqqat ro rahi hai
Ajab mahfil hai sab ek dusre pe haNs rahe haiN
Ajab tanhaayi hai khilwat ki khilwat ro rahi hai
Yeh khamoshi nahi, sab iltejaayeN thak chuki haiN
Yeh aaNkheN tar nahi, rone ki himmat ro rahi hai
Jo baad az hijr aaya, us ko kaise wasl kah duN
Shikaayat se gale mil ke nidaamat ro rahi hai
Ise ghussa na samjho! Azm yeh mere lahoo me
Musalsal zabt karne ki riwaayat ro rahi hai
***

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 342