donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azm Behzad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ae iraadoN Mujhe takmeel ki taaseer dikhaao *

Ae iraadoN Mujhe takmeel ki taaseer dikhaao

Khab maiN dekh chuka huN mujhe taa.beer dikhaao

Kaahisho!! AaNkh se bahti hui hasrat na bano

Waqt badla hai to badli hui tasveer dikhaao

Raasto!! Mere liye manzileN aasaaN kardo

Tum mere zer E Qadam rahne ki tauqeer dikhaao

Waahimo! Hadd E yaqeeN pe mujhe hairaaN na karo

Arsaa E shak se guzar jaane ki tadbeer dikhaao

Hauslo! Jang ki haalat ko badal kar dekho

MaiN sipar dekh chuka huN mujhe shamsheer dikhaao

Zaaviyo! Husn E lab O chasm nahi hai kaafi

Qaid karne ke liye duusri zanjeer dikhaao

Faaslo! Qurb ke lamhoN me yeh doori kaisi

Yahi hoga to mujhe safha E taqdeer dikhaao

Faislo!! Baar E virasat hai mere shaanoN par

Jis ka haQdaar huN mujh ko wohi jaageer dikhaao

RaunaQo! Azm ki aaNkhoN me chamakne k liye

Is bayaabaaN meN kisi shahr ki taameer dikhaao


***

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 452