donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azm Behzad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Raat ek mehfil mei.N guft.guu namu par thii *

Raat ek mehfil mei.N guft.guu namu par thii
Har zubaa.n thii saakit, har nigaah pat_thar thii
Ek savaal kii lou se ho.NT jhulse jaate the
Ek javaab kii ThanDak aah ke baraabar thii
Ek be-yaqeeN lehja khouf se larazta tha
Ik Chhupi huii hairat, hairato.N se baahar thii
Voh sukhan zuba.N par tha jis ko dil mei.N rehna tha
Voh shikan jabee.N par thii jo adaaye bistar thii
Mai.N bahut hirasaaN tha zakhm ke na bharne se
Ek shab kii mohlat thii aur jang sar par thii
Shaakh-e-dil kii haryaali khaab ka bayaa.N Thehri
MaiN ne jis ko nam rak_Kha voh zamee.N hii banjar thii
Mujh meiN ek darya hai jo bipharta rehta hai
Pehle ek Sehra tha jis pe chup kii chaadar thii
MaiN ne us ko har lamha jism se pukaraa tha
Ab Khula keh voh khaahish ruuh ke baraabar thii
Ishq kii karaamat hai varnaa umr ke haathoN
Khaal-o-khad kii veeraani husn ka muqaddar thii
Kya huye voh lab jin se phool hii baraste the
Kya huii voh shaadabi jo hameiN muyassar thii
AZM be-sabab dekhha tum ne khaab-e-sairaabi
Dasht ke tasalsul meiN tashnagi hii behtar thii
***

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 382