donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azm Behzad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kitne mousam sargardaa.n the mujh se hath milane mai.n *

Kitne mousam sargardaa.n the mujh se hath milane mai.n
Mai.n ne shaayed dair lagadi khood sey baahar aane mai.n
Ek nighah ka san.nata hai ek aawaaz ka banjar pan
Mai.n kitna tanha baitha hu.n qurbat ke veerane mai.n
Bistar se karwat ka rishta toot gaya ek yaad ke saath
Khaab sarhane se uth baitha takiye ko sarkaney mai.n
Aaj uss phul ki khushbu mujh mai.n paiham shor machati hai
Jis ne be had ujlat barti khilne aur murjhaane mai.n
Baat banaane wali ratei.n rang nikharne wale din
Kin rasto.N par chhoR aaya mai.n umr ka sath nibhane mai.n
Aik malal ki gard samete mai.n ne khood ko paar kia
Kaise kaise wasl guzare hijr ka zakhm chhupane mai.n
Jitne dukh the jitni umeedei.n, sab se brabar kam liya
Mai.n ne apne aayinda ki ek tasweer banaane mai.n
Aik wazahat ke lamhe mai.n mujh par ye ahwaal khula
Kitni mushkil paish aati hai apna haal bataane mai.n
Pahlay dil ko aas dilaa kar beparwaaa ho jata tha
Ab to Azm bikhar jata hun mai.n khud ko bahlane mai.n


***

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 433