donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azmat Ali Shah
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Waqt dushman hai mohabbat ka azal se aye dil *

Waqt dushman hai mohabbat ka azal se aye dil
aisa rahzan ke dabe paao.n seaa kar aksar
cheen laita hai mohabbat ke sunehri lamhe
chor jata hai gham-e-hijr kou la kar aksar
aah ke phir bhi mohabbat ke sabhi sokhta jaa.n
be rehem waqt ke paimano.n mei.n rakhte hai.n hisab
raat,din,saal,mahheno.n mei.n gine karte hai.n
wasl ki raat,wou ruswai ke din,ehd-e-shabab
koi baigana-e-ulfat ko ye samjhaye sahi
bandish-e-waqt se azad hai deewana-e-ishq
naala-o-ashq-e-nagge.n,surkhiye lab,shiddat-e-gham
inhi kulyo.n mei.n niha.n hai kahi.n paimana-e-ishq

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 397