suna hai
ke matti ka putla
ye insan
bohot sakht jaan hai
magar aankh ka pani
mar na chuka ho
aur dil mei.n
shamma-e-mohabbat
bujhi na pari ho
tou yehi insan
kissi ki nazar
ya kisi baat se hi
andar hi andhar
bikhar jata hai
ghut ke mar jata hai
koun kehta hai insan
bohot sakht jaan