donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azmat Ali Shah
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kabhi khuda tou kabhi nakhuda ki qaid mei.n hai.n *

Kabhi khuda tou kabhi nakhuda ki qaid mei.n hai.n
azal se ham issi jurm-o-saza ki qaid mei.n hai.n
jaha.n mei.n koi bhi aazad reh nahi sakta
shajar zamme.n ki tou panchi hawa ki qaid mei.n hai.n
kaha.n se ab koi ummeed ki kiran laye.n
ke ujale bhi ussi bewafa ki qaid mei.n hai.n
wou mere jurm-e-mohabbat ki baat karte hai.n
jou khud zameer ke mujrim ana ki qaid mei.n hai.n
jou teri aankh ne keh dee.n wo kaisi batei.n thee.n
samatei.n hai.n ke ab tak sada ki qaid mein hai.n
mohabbatei.n hai.n ke aankho.n se baat karti hai.n
magar wo hont ke ab tak haya ki qaid mei.n hai.n

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 366