Koun kehta hai tujhe khud se juda karna hai
umr bhar khud se judai ka gila karna hai
too tasawwur mei.n gunaho.n se sharm aati hai
yaad mat aao,mujhe aik gunah karna hai
dunya daari se jou fursat mili tou souchei.n gey
ke wafa unko koi ehd-e-wafa karna hai
too agar naa ho tou kis kam ki shuhrat meri
too jou mil jaye tou shuhrat ko bhi kya karna hai
mei.n tra aks hoo.n aye jan-e-tamanna meri
kya paree tujh ko jo khud se bhi haya karna hai