donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azra Adil Rashid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zulm ke paao.n se jo phuul masal jaate hai.n, *

Zulm ke paao.n se jo phuul masal jaate hai.n,
Khaar ban kar vahii patthar pe nikal aate hai.n ,

phir bahaaro.n kii zaruurat nahii.n rahatii un ko,
ye Khizaa.N me.n bhii ba.Dii shaan se khil jaate hai.n ,

Ghuu.Nche vo milatii nahii.n hai jinhe.n aagosh ko.ii,
vahii miTate hai.n to kiicha.D me.n kamal aate hai.n ,

Dab-Dabaa.ii hu.ii aa.Nkho.n me.n na aa.Nnkhe.n Daalo,
in me.n tuufaan hai.n chhe.D se machal jaate hai.n ,

vo jo kal raunaq-e-faanuus thii aiwaan ke liye,
aaj us shammaa se aiwaan dahal jaate hai.n ,

dhuup thii tez to saaye bhii the paro.n ke tale,
is ke Dhalate hii ruKh in ke bhii badal jaate hai.n ,

hamane samajhaa hai zamaane ko ba.Dii der ke baad
ye vo Kha.njar hai.n jo apano pe bhii chal jaate hai.n

hamako aataa nahii.n zaKhmo.n kii numaa.ish karanaa,
Khud hii rote hai.n ta.Dapate hai.n bahal jaate hai.n,

jo samajhate hai.n hawabis ko vo khilona kii tarah,
un se tuufaan bhii bach-bach ke nikal jaate hai.n ,

azm-vaale kabhii himmat nahii.n haaraa karate,
ashk ’Azra’ ke ye kah kah ke samhal jaate hai.n .



 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 369