* Bich mein parda dui ka tha jo hayal uth gaya *
Bich mein parda dui ka tha jo hayal uth gaya
Aisa kuch dekha ke duniya se mera dil uth gaya
Shama ne ro ro ke kati rat suli par tamam
Shab ko jo mahafil se teri ai zeb-e-mahafil uth gaya
Meri ankhon mein samaya us ka aisa nur-e-haq
Shauq-e-nazzara ai badr-e-kamil uth gaya
Ai Zafar kya puchata hai begunah-o-bar-gunah
Uth gaya ab jidhar ko vaste qatil uth gaya
|