donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bahadur Shah Zafar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ham to chalte hai’n lo Khudaa haafiz *
Ham to chalte hai’n lo Khudaa haafiz
butkadaa kaa buto’n Khudaa haafiz

kar chuke tum nasiihate’n ham ko
jaao bas naaseho Khudaa haafiz

aaj kuchh aur tarah par un kii
sunte hai’n guftaguu Khudaa haafiz

bar yahii hai hameshaa zakhm pe zakhm
dil kaa chaaraagharo’n Khudaa haafiz

aaj hai kuchh ziyaadaa betaabii
dil-e-betaab ko Khudaa haafiz

kyo’n hifaazat ham aur kii Dhuundhe’n
har nafas jab ki hai Khudaa haafiz

chaahe ruKhsat ho raah-e-ishq me’n aql
ai "Zafar" jaane do Khudaa haafiz
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 414