donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bashar Sahbayee
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Be tahasha urhaan samne hai, *
Be tahasha urhaan samne hai,
Na samajh aasman samne hai,

Ghair ke der  pe de rahei hai sada,,
Ger che apna makan samne hai,

Tum bhi mit jaoge na sanbhlo ge,
Hashar  urdu zaban samne hai,

Be sahare  bhi nau chalti hai,
Mera hindusitan samne hai,

Peeth per war kar nahi’n sakta,
Azmate khandan samne hai,

Patti aankho’n se khol ker daikho,
Ikhtelafi byan samne hai,

Kaise tahzeeb ko bachau ge,
Ser barahna quran  samne hai,

Teeshai fikr ho na zung aalood,
Maslo’n ki chattan samne hai,

Assman per pahunch gai bhi to kya,
Aur ek aasman samne hai,

Aise il jul ke log rahtei’n hai’n,
Daikho qaumi nishan samne hai,

Ru-ba-ru jis gharhi hua woh basher,
Yo’n laga etr daan samne hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 378