donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Behzad Lucknawi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ai jazbaa-e-dil gar mai.n chaahuu.N har chiiz muqaabil aa jaaye , *
Ai jazbaa-e-dil gar mai.n chaahuu.N har chiiz muqaabil aa jaaye ,
manzil ke liye do gaam chaluu.N aur saamne manzil aa jaaye ,
ai dil kii Khalish chal yuu.N hii sahii, chaltaa to huu.N unkii mahfil me.n ,
us vaqt mujhe chau.nkaa denaa jab rang pe mahfil aa jaaye ,
ai rahabar-e-kaamil chalne ko tayyaar to huu.N par yaad rahe ,
us vaqt mujhe bhaTakaa denaa jab saamne manzil aa jaaye ,
haa.N yaad mujhe tum kar lenaa aavaaz mujhe tum de lenaa ,
is raah-e-muhabbat me.n koii dapaish jo mushkil aa jaaye ,
ab kyuu.N Dhuu.NDhuu vo chashm-e-karam hone de sitam balaa-e-sitam ,
mai.n chaahataa huu.N ai jazbaa-e-Gham mushkil pas-e-mushkil aa jaaye ,
is jazb-e-dil ke baare me.n ik mashvaraa tum se letaa huu.N ,
us vaqt mujhe kyaa laazim hai jab tujh pe meraa dil aa jaaye,
ai barq-e-tajalli kyaa tuune mujhko bhii muusaa samajhaa hai ,
mai.n tuur nahii.n jo jal jaauu.N jo chaahe muqaabil aa jaaye .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 394