|
* Diiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de, *
Diiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de,
warnaa kahii.n taqdiir tamaashaa na banaa de,
aye dekhne waalo.n mujhe ha.Ns ha.Ns ke na dekho,
tum ko bhii mohabbat kahii.n mujh saa na banaa de,
mai.n Dhuu.NDh rahaa huu.N merii wo shammaa kahaa.N hai ,
jo bazm kii har chiiz ko parwaanaa banaa de ,
aakhir koii suurat bhii to ho Khaanaa-e-dil kii,
Kaabaa nahii.n bantaa hai to but_Khaanaa banaa de,
"Behzad" har ek jaam pe ek sajdaa-e-mastii,
har zarre ko sang-e-dar-e-jaanaa.N naa banaa de.
|
|