donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bekal Utsahi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hare kheto'n ko sukhe pani ki nishani de ke aayee hai *
Hare kheto'n ko sukhe pani ki nishani de ke aayee hai
Yeh barkha jane kin paudo'n ko pani de ke aayee hai

woh jin ki garmi guftar se shadabiya'n barsi'n
Unhi'n faslo'n ko ab shola bayani deke aayee hai

Utar aayee ghatao'n ko samundar ki hatheli par
Kanwal ke phool taro'n ko sayani de ke aayee hai

Mundero'n par rakh aayee subah se hi peyas ka suraj
Kisi aangan ko bholi zindagani de ke aayee hai

Haweli se nikal kar kaise jaye'n saheb-e- aalam
Kahi'n dhone ko un ki shirwani de ke aayee hai

Jawa'n pichhle baras thee barh se poochhe koii "Bekal"
Magar is bar kis ko naujawani de ke aayee hai

			Civil Line, Balrampur, Gonda-271201(U.P)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 662