donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bekhud Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* be-rukhi be-ittanaaii ho chuki *
be-rukhi be-ittanaaii ho chuki  
aao man-jaao, laRaaii ho chuki  
ab mera dil bhi mukaddar ho gaya  
ab meri unh ki safaaii ho chuki  
jin ko paas-e-khaatir-e-sayyad he  
un aseeron ki rihaaii ho chuki  
ab to mil jaao ke saarey shehr mein  
shuhrat-e-naa-aashinaaii ho chuki  
zulf kehti he dil-e-betaab se  
mere pphandon se rihaaii ho chuki  
zauf ke haathon qadm uthte naheen  
un ki mahfil tak rasaaii ho chuki  
tum mein khuu banda-nawaazi ki naheen  
ae buton tum se khudaaii ho chuki  
o wafaa dushman jafaajuu tand-khuu  
ho chuki bas be-wafaaii ho chuki  
ab to bekhud se bhi parda hai unhe   
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 395