* abru kaa tasawwur thaa shamsheer nazar aaii *
abru kaa tasawwur thaa shamsheer nazar aaii
geysuu ka khayaal aaya zanjeer nazar aaii
yaan fasl-e-bahaaraan ko taqreeb khazaan dekha
tamheed kharaabii kii taameer nazar aaii
ham apne hii haathon sey jaan apni ganwaa bethey
jab maut key aaney mein taakheer nazar aaii
sang-e-dar-e-jaanaan par kii naasiya fursaaii
itnii ke muqarrar kii tahreer nazar aaii
main mahw-e-tajallii hoon mujh ko to zamaaney mein
har shakl mein teri hii tanveer nazar aaii
kuch aur na baRh jaaye miya’aad aseeri kii
kyoon mujh ko rihaaii kii tadbeer nazar aaii
|