* zamaaney par to na qaaboo kabhi chalaa na chaley *
zamaaney par to na qaaboo kabhi chalaa na chaley
idhar hii phir na chalein ham jidhar zamaana chaley
woh khizr-e-raah hai mera jo raah gum kar dey
woh gum-shudah hoon ke jis kaa kaheen pata na chaley
woh haath hein jo na uthein kabhi dua key liye
zabaan woh hai jo dum-e-arz-e-mudda’a na chaley
woh zeest zeest hai mar mar kai jo guzartii ho
woh dard dard hai jis par koii dawaa na chaley
agar hai manzil-e-maqsad kii justajuu bekhud
woh chaal chal ke terey saath zamaana chaley
|